Holika dahan ka jyotish mahattw, janiye kaise dur Karen dukh aur daridrta ko holika dhan ke samay.
Holika dahan ka samay bahut hi shaktishali hota hai jab hum apne jivan mai se daridrata ko dur karne ke liye prayog kar sakte hain, parivark samasyao ke samadhan ke liye upay kar sakte hain, grah dosho ko dur karne ke liye prayog kar sakte hain, kale jadu se bachaao ke liye prayog kar sakte hain, vyaparik samasyaao ke samadhan ke liye upay kar sakte hain aadi .
Holika Dahan Ka Jyotish Mahattw |
Holika dahan ki raatri, maharatriyo mai se ek raatri hoti hai jab tantric tantr-siddhi ke liye saadhna karte hain, sadhak apni adhyatmik unnati ke liye sadhna karte hain.
Holika dahan me ahutiyan di jaati hai jise sukshm shaktiyan graham karti hai aur ahuti dene wale ki manokaamna puri karti hai.
watch video on- Holika Dahan ka jyotish mahattw:
Aaiye jante hain ki HOLIKA DAHAN mai kis samagri se ahuti dene se kya laabh hoga ?
- Agar janm patrika me chandrama dushit ho to aise me holika me doodh, chawal, kapoor ki aahuti dene se jatak ko bahut laabh milta hai.
- Kundli me agar surya shatru ka ho ya neech ka ho to aise me gehu, gud, laal chandan ki aahuti deni chahiye holika mai.
- Agar kundli me mangal samasyagrat ho to aise me gud ya mithaai se ahuti dena chahiye.
- Agar kundli me budh pareshan kar raha ho ti aise mai baans, hari moong se aahuti dena shubhta laata hai.
- Agar kundli me guru kharab ho to aise me haldi, besan ke laddu, chane ki daal se ahuti dena chahiye.
- Janm patrika me agar shukra kharab ho to aise me chawal, itar, gugal , kapoor se ahuti dena chahiye holika mai.
- Janm patrika mai agar shani kharab ho to aise mai holika me kaala til, sarso ka tail, nariyal aadi se ahuti dena shubhta laata hai.
- Agar kundli me rahu samasya utpann kar raha hai to aise me nariyal, badaam, til se ahuti dena chahiye.
- Agar patrika mae ketu samasya utpann kar raha hai to aise me alg alg dhaano ko mila ke usse aahuti dena chahiye nariyal ke saath.
To hum bahut hi asaani se grah shanty kar sakte hain khud hi holika me ahuti de ke aur dur kar sakte hain badhaao ko.
Aaiye jante hai ki kin baato ki saawdhani rakhna chahiye prayog karte samay:
- Holika dhan ke samay aap koi bhi prayog kare, parantu ye dhyan rakhen ki aapko kriyaao ki gopniyata bana ke rakhna hai, tabhi pura fayda aapko milega.
- Kriyaao ko karte samay sukshm shaktiyo par pura bharosa rakhiye.
- Humesha mahurat ka dhyan rakhiye.
- Agar aap koi utara karte hain Holi ki ratri ko to utare ko fenkne ke baad, ghar me ghusne se pahle apne upar pavitra jal awashya chidke.
- Vishesh manokaamna ko puri karne ke liye ahuti den ke baad holika ki parikrama bhi awashya lijiye.
पढ़िए कुछ होली के टोटके परेशानियों को दूर करने के लिए
Jivan mai kaisi bhi samasya ho, holika me aap use swaha kar sakte hain, shraddha aur vishwaas se agar aap holika ki puja Karen aur ahuti de to isme koi shak nahi ki hum apne jivan mai se dukh, daridrata, rog , shok ko asaani se dur kar sakte hain.
Holika dahan ka jyotish mahattw, holika dhan significance, janiye kaise dur Karen dukh aur daridrta ko holika dhan ke samay, 2021 Holi Jyotish Mahattw.