Shani amavas ka mahatwa in hindi jyotish, konse prayog se dur kar sakte hain durbhagya ko, shani ke totke, shani pida se mukti ke upaay.
2022 mai 27 august, shaniwar ko rahega shani amavasya.
Shani amavasya ek durlabh yog hai jab hum sab apne durbhagya ko dur karne ke liye prayog kar sakte hain. Jyotish anusar bhi shani amavasya bahut adhik mahattw rakhta hai aur isiliye log is din pavitra nadiyo me snaan karte hain, nadi tat par puja path karte hain, daan karte hain. Is din pitru shraap se bachne ke liye bhi upaay kiye jaate hain, kale jadu se mukti ke liye bhi prayog hote hain, najar dosh se bachne ke liye bhi upaay hote hain, upri hawa se bachne ke liye bhi prayog hote hain. Shani puja bhi bahut laabhdayak hoti hai.
Jivan me kaisi bhi badha ho, shani-amavasya ko pooja karke sankato ko kam kiya jaa sakta hai.
Tantra siddhi karne walo ke liye bhi shani amavasya bahut mahattw rakhta hai , jaankar log is din vishesh saadhna karte hain shakti prapt karne e liye, maaran aur uchhatan ke prayog bhi is din safal hote hain. Atah jin logo ke dushman adhik ho unhe saawdhan rahna chahiye.
Shani Amavasya Ka Mahattwa in Hindi Jyotish |
Aaiye jante hain ki kin logo ko vishesh saawdhani rakhna chahiye shani amavasya ko ?
- Jin logo ke kundli me grahan yog ho, unhe saawdhan rahna chahiye aur shani amavasya ko koi vishesh kaam nahi karna chahiye saath hi kahin ghumne bhi nahi jaana chahiye.
- Jinke gan rakshas hai, unhe bhi SHANI AMAAVASYA ko kahin bahar nahi jaana chahiye.
- Jinke kundli me lagn kamjor ho unhe bhi saawdhani baratna chahiye.
- Agar kundli me pitru dosh ho to bhi shani amavasya ko koi shubh kaam na kare.
- Jinke janm kundli me kaalsarp yog bana hua hai unhe bhi bahut saawdhan rahna chahiye.
Shani amavasya vastav me ek bahut hi shaktishaali din hai jab hum apne jivan me se daridrata, shraap, musibat aadi ko kam karne ke liye upaay kar sakte hain atah is din ka pura pura stemaal karna chahiye.
Aaiye ab jante hain ki kin logo ko vishesh puja path karna chahiye shani amavasya ko ?
- Agar kundli me shani shatru ka ho ya fir neech ka ho to aise mai shani shanti pooja aapko is din karna chahaiye. Is din upwaas rakhke shani se sambandhit vastuon ka daan karna chahiye.
- Agar kundli me pitru dosh ban raha hai to aise me aap pitru shanty ki puja is din karwa sakte hain aur jivan mai se badhaao ko hata sakte hain.
- Agar koi jatak kale jaadu se grast hai to aise me shani amavasya ko vipatti naash ke liye anushthaan karna chahiye.
- Agar koi bandhan dosh se grast hai to is din aap puja karke mukt ho sakte hain.
- Agar karja badhta jaa raha ho to bhi ye din vishesh hai karj mukti ke upaayo ko karne ke liye.
- Agar daridrata peecha na chor rahi ho, sabhi taraf se raaste band ho gaye ho to aise me aapko shani amavasya ko jyotish se paramarsh leke utaare karna chahiye aur apne pitru aur isht se prarrthna karna chahiye.
Aaiye ab jante hain shani amavasya ka laabh lene ka asaan tarika :
- Subah brahm mahurat se pahle uthke dainik kriyaao ko nipta lijiy.
- Apne puja sthaan me asan bicha ke sabse pahle devik shaktiyo ka awahan kariye aur fir sankalp lijiye ki aap apne kin pareshaniyo se mukti hetu puja karne jaa rahe hain.
- Apne saamne shani yantra, shani dev ka chitra job hi sulabh ho unki puja kare, dhoop, deep, naivadya lagaayen.
- Fir kam se kam 11000 shani mantra ka jap Karen shraddha aur bhakti se.
- Akhir me prarthna Karen ki aapke jivan me se sankato ko hata de.
- Ab shani se sambandhit vastuo ko jarurat mando me baant de jaise, chappal, juta, lohe ki kadhaai, tail, katori, kale kapde aadi.
Is prakar bahut asaani se hum shani dev ki kripa shani amavasya ko prapt kar sakte hain aur apne jivan me se sankato ko dur kar sakte hain.
- Hum puja kar sakte hain rin mukti ke liye.
- Hum puja kar sakte hain pitru dosh shanti ke liye.
- Hum puja kar sakte hain vyapaar bandh ko hatane ke liye.
- Hum puja kar sakte hain sambandho ko sudhaarne ke liye.
- Santan samasya aur vivah pareshani ko dur karne ke liye bhi anusthaan kar sakte hain.
To aane wale 13 march ko shani amavasya ko apne jivan me se kashto ko dur karne ke liye prayog jarur kare, is din ka bharpur lab le.
Agar aap janna chahte hain ki aapke kundli ke anusar kaun si puja aapke liye shubh rahegi, kaun sa ratn aapke liye bhagshali rahega to aap sampark kar sakte hain jyotish mardarshan ke liye.
Read in english about shani amavasya significance.
Shani amavas ka mahatwa in hindi jyotish, konse prayog se dur kar sakte hain durbhagya ko, shani ke totke, shani pida se mukti ke upaay.